Kya ho gaya hai haal-e-musalman kya kahoon Hain pur-malal Ya Ali ahwal kya kahoon Zahir hai paraganda to batin bhi siyah hai Kehne ko magar ummat-e-mehboob-e-Khuda hai Ehsas ki dawlat hai na kuch ghairat-e-eeman Na barq hai seenon mein na himmat na vaza hai Taajir hain zameeron ke sar-e-aam musalmaan Haq baat kahoon in se to murda bhi bhala hai Na sift-e-khafi in mein na ausaf-e-jali hain Bolen ge to aise ke zamane ke wali hain Be-khabar hain khud se to jahan bhar ki khabar hai Khali hain amal se magar auron ki fikr hai Afkaar jawanon ke zaboon-haal hain Maula Shaheen ki dosheeza-e-maghrib pe nazar hai Hai Dukhtar-e-Islam-e-mubeen nafs ki laundi Afsos ke wo zeenat-e-har raah-guzar hai Zahid ka zohd hai to dikhane ke liye hai Mufti ka hai fatwa to kamane ke liye hai Lagu hain kahan us pe ye ahkam-e-shariyat Naseh ki nasihat to zamane ke liye hai Haider si sakhawat na Alamdar si jurrat Hasnain si shaukat hai,
na Akbar si basarat Abid si ibadat hai,
Na Jafar si sadaqat Zahra si taharat hai na Zainab si balaghat Thukra ke hum ne qaul-e-Nabi zee-maqam ko Thama hai hum ne Ya Ali har khas-o-aam ko Chorha Ali tujhe teri itrat se katt gaye Phir yun hua ke hum to tehattar mein batt gaye Dushwaar hai is halat-e-bad-haal mein rehna Ya Haider-o-Safdar ye Khuda Pak se kehna Parwardgar waqt-e-zahoor-e-imam a.s.
hai Pasti mein deen-e-Ahmad-e-Khair-ul-anam hai
Bu eser Haal E Musalman ismiyle
İlahi kategorisine eklenmiştir.